Rekhta's own, Pulkit Sachdeva, recites a beautiful ghazal by Mah Laqa Chanda.
Show lessRead more
Details
Title: Recitation of "dil ho gaya hai gham se tere daghdaar khoob"
Transcript:
dil ho gayā hai ġham se tire dāġhdār ḳhuub
phūlā hai kyā hī josh se ye lāla-zār ḳhuub
kab tak rahūñ hijāb meñ mahrūm vasl se
jī meñ hai kiije pyaar se bos-o-kanār ḳhuub
saaqī lagā ke barf meñ mai kī surāhī lā
āñkhoñ meñ chhā rahā hai nashe kā ḳhumār ḳhuub
aayā na ek din bhī tū va.ada pe raat ko
achchhā kiyā sulūk taġhāful-shi.ār ḳhuub
aisī havā bañdhī rahe 'chandā' kī yā alī
bā-sad-bahār dekhe jahāñ kī bahār ḳhuub
Hide TranscriptShow Transcript
Rights: Rekhta Foundation
Videography: Mohammad Wasim, Anas Khan
Recitation by: Pulkit Sachdeva
Poet: Mah Laqa Chanda
Editor: Mohammad Wasim
Get the app
Explore museums and play with Art Transfer, Pocket Galleries, Art Selfie, and more